22.1 C
Delhi
Sunday, December 3, 2023

Buy now

Adsspot_img
Home Blog

Charaġhon Ko Ankhon Men Mahfuz Rakhna by Bashir Badr

0

Good night shayari in Hindi

चराग़ों को आँखों में महफ़ूज़ रखना

बड़ी दूर तक रात ही रात होगी

Good night shayari in English

charaġhon ko ankhon men mahfuz rakhna

baḌī duur tak raat hī raat hogī

Wo Khafa Hain To Koi Baat Nahi Khumar Barabankvi

2

वो खफा है तो कोई बात नहीं
इश्क मोहताज-ए-इल्त्फाक नहीं

दिल बुझा हो अगर तो दिन भी है रात नहीं
दिन हो रोशन तो रात रात नहीं

दिल-ए-साकी मैं तोड़ू-ए-वाइल
जा मुझे


Image médicale pour illustrer un article sur la santé

Médical

Texte additionnel sur le thème de la médecine

ख्वाइश-ए-नजात नहीं

ऐसी भूली है कायनात मुझे
जैसे मैं जिस्ब-ए-कायनात नहीं

पीर की बस्ती जा रही है मगर
सबको ये वहम है कि रात नहीं

मेरे लायक नहीं हयात “ख़ुमार”
और मैं लायक-ए-हयात नहीं

Wo Khafa Hain To Koi Baat Nahi,
Ishq Mohtaaj-e-Iltfhaq Nahi

Dil Bujha Ho Agar To Din Bhi Hai Raat Nahi,
Din Ho Roshan To Raat Raat Nahi

Dil-e-Saaki Main Todu-e-Vaail,
Ja Mujhe Khwahish-e-Najaat Nahi

Aisi Bhuli Hai Qaynaat Mujhe,
Jaise Main Jisb-e-Qaynaat Nahi

Peer Kee Basti Ja Rahi Hai Magar,
Sabko Ye Veham Hai Ki Raat Nahi

Mere Layak Nahi Hayaat ‘Khumar’
Aur Main Layak-e-Hayaat Nah!

HOSH-ZADA NADAN SE DAR KHUMAR BARABANKVI

0

होश-ज़दा नादान से डर

बात समझ इंसान से डर

तर्क-ए-मोहब्बत भी है फ़रेब

ठहरे हुए तूफ़ान से डर

राह-ए-जुनूँ है राह-ए-नजात

कुफ़्र से भाग ईमान से डर

दूरी-ओ-क़ुर्बत कुछ भी नहीं

इश्क़ में इत्मीनान से डर

मौत भी इतनी तल्ख़ नहीं

दोस्तों के एहसान से डर

एक तबस्सुम कम समझ

आँसुओं के तूफ़ान से डर

होंठ हँसें दिल रोए ‘ख़ुमार’

इश्क़ की झूटी शान से डर

HOSH-ZADA NĀDĀN SE DAR

BAAT SAMAJH INSĀN SE DAR

TARK-E-MOHABBAT BHĪ HAI FAREB

THAHRE HUE TŪFĀN SE DAR

RĀH-E-JUNŪÑ HAI RĀH-E-NAJĀT

KUFR SE BHAAG ĪMĀN SE DAR

DŪRĪ-O-QURBAT KUCHH BHĪ NAHĪÑ

ISHQ MEÑ ITMĪNĀN SE DAR


Tumore prostatico: la prognosi in base a stadio, grado e rischio

Tumore prostatico: la prognosi in base a stadio, grado e rischio

style=”font-style: inherit; font-weight: inherit;” data-l=”9″>MAUT BHĪ ITNĪ TALḲH NAHĪÑ

DOSTOÑ KE EHSĀN SE DAR

EK TABASSUM KAM NA SAMAJH

ĀÑSUOÑ KE TŪFĀN SE DAR

HOÑTH HAÑSEÑ DIL RO.E ‘ḲHUMĀR’

ISHQ KĪ JHŪTĪ SHAAN SE DAR

 

KABHI JO MAINE MASARRAT KA EHTIMAM KIYA KHUMAR BARABANKVI

0

कभी जो मैं ने मसर्रत का एहतिमाम किया

बड़े तपाक से ग़म ने मुझे सलाम किया

हज़ार तर्क-ए-तअ’ल्लुक़ का एहतिमाम किया

मगर जहाँ वो मिले दिल ने अपना काम किया

ज़माने वालों के डर से उठा हाथ मगर

नज़र से उस ने ब-सद मा’ज़रत सलाम किया

कभी हँसे कभी आहें भरीं कभी रोए

ब-क़द्र-ए-मर्तबा हर ग़म का एहतिराम किया

हमारे हिस्से की मय काम आए
intervento all'apparato gastrointestinale

Intervento Gastroenterologico

Testo aggiuntivo sull’intervento gastrointestinale.

style=”font-style: inherit; font-weight: inherit;” data-m=”\0gf6″>प्यासों के

ज़े-राह-ए-ख़ैर गुनाह-ए-शिकस्त-ए-जाम किया

तुलू-ए-महर से भी घर की तीरगी घटी

इक और शब कटी या मैं ने दिन तमाम किया

दुआ ये है हों गुमराह हम-सफ़र मेरे

‘ख़ुमार’ मैं ने तो अपना सफ़र तमाम किया

 

KABHĪ JO MAIÑ NE MASARRAT KĀ EHTIMĀM KIYĀ

BAḌE TAPĀK SE ĠHAM NE MUJHE SALĀM KIYĀ

HAZĀR TARK-E-TA.ALLUQ KĀ EHTIMĀM KIYĀ

MAGAR JAHĀÑ VO MILE DIL NE APNĀ KAAM KIYĀ

ZAMĀNE VĀLOÑ KE DAR SE UTHĀ NA HAATH MAGAR

NAZAR SE US NE BA-SAD MA.AZARAT SALĀM KIYĀ

KABHĪ HAÑSE KABHĪ AAHEÑ BHARĪÑ KABHĪ RO.E

BA-QADR-E-MARTABA HAR ĠHAM KĀ EHTIRĀM KIYĀ

HAMĀRE HISSE KĪ MAI KAAM AA.E PYĀSOÑ KE

ZE-RĀH-E-ḲHAIR GUNĀH-E-SHIKAST-E-JĀM KIYĀ

TULŪ-E-MAHR SE BHĪ GHAR KĪ TĪRGĪ NA GHATĪ

IK AUR SHAB KATĪ YĀ MAIÑ NE DIN TAMĀM KIYĀ

DUĀ YE HAI NA HOÑ GUMRĀH HAM-SAFAR MERE

‘ḲHUMĀR’ MAIÑ NE TO APNĀ SAFAR TAMĀM KIYĀ

 

KYA HUA HUSN HAI HAM-SAFAR YA NAHIN KHUMAR BARABANKVI

0

क्या हुआ हुस्न है हम-सफ़र या नहीं

इश्क़ मंज़िल ही मंज़िल है रस्ता नहीं

दो परिंदे उड़े आँख नम हो गई

आज समझा कि मैं तुझ को भूला नहीं

तर्क-ए-मय को अभी दिन ही कितने हुए

कुछ कहा मय को ज़ाहिद तो अच्छा नहीं

हर नज़र मेरी बन जाती ज़ंजीर-ए-पा

उस ने जाते हुए मुड़ के देखा नहीं

छोड़ भी दे मिरा साथ ज़िंदगी

मुझ को तुझ से नदामत है शिकवा नहीं

तू ने तौबा तो कर ली मगर ऐ ‘ख़ुमार’

तुझ को रहमत पे शायद भरोसा नहीं

 

KYĀ HUĀ HUSN HAI HAM-SAFAR YĀ NAHĪÑ

ISHQ MANZIL HĪ MANZIL HAI RASTA NAHĪÑ

DO PARINDE UḌE AAÑKH NAM HO GA.Ī

AAJ SAMJHĀ KI MAIÑ TUJH KO BHŪLĀ NAHĪÑ

TARK-E-MAI KO ABHĪ DIN HĪ KITNE HUE

KUCHH KAHĀ MAI KO ZĀHID TO ACHCHHĀ NAHĪÑ

HAR NAZAR MERĪ BAN JAATĪ ZANJĪR-E-PĀ

US NE JAATE HUE MUḌ KE DEKHĀ NAHĪÑ

CHHOḌ BHĪ DE MIRĀ SAATH AI ZINDAGĪ

MUJH KO TUJH SE NADĀMAT HAI SHIKVA NAHĪÑ

TŪ NE TAUBA TO KAR LĪ MAGAR AI ‘ḲHUMĀR’

TUJH KO RAHMAT PE SHĀYAD BHAROSA NAHĪÑ

 

HANSNE WALE AB EK KAAM KAREN KHUMAR BARABANKVI

0

हँसने वाले अब एक काम करें

जश्न-ए-गिर्या का एहतिमाम करें

हम भी कर लें जो रौशनी घर में

फिर अँधेरे कहाँ क़याम करें

मुझ को महरूमी-ए-नज़्ज़ारा क़ुबूल

आप जल्वे अपने आम करें

इक गुज़ारिश है हज़रत-ए-नासेह

आप अब और कोई काम करें

चलें उस के दर पे अब दिल

mymedic.es inherit;” data-m=”\1oad”>ज़िंदगी का सफ़र तमाम करें

हाथ उठता नहीं है दिल से ‘ख़ुमार’

हम उन्हें किस तरह सलाम करें

HAÑSNE VAALE AB EK KAAM KAREÑ

JASHN-E-GIRYA KĀ EHTIMĀM KAREÑ

HAM BHĪ KAR LEÑ JO RAUSHNĪ GHAR MEÑ

PHIR AÑDHERE KAHĀÑ QAYĀM KAREÑ

MUJH KO MAHRŪMĪ-E-NAZZĀRA QUBŪL

AAP JALVE NA APNE AAM KAREÑ

IK GUZĀRISH HAI HAZRAT-E-NĀSEH

AAP AB AUR KOĪ KAAM KAREÑ

AA CHALEÑ US KE DAR PE AB AI DIL

ZINDAGĪ KĀ SAFAR TAMĀM KAREÑ

HAATH UTHTĀ NAHĪÑ HAI DIL SE ‘ḲHUMĀR’

HAM UNHEÑ KIS TARAH SALĀM KAREÑ

 

PĪ PĪ KE JAGMAGĀ.E ZAMANE GUZAR GAYE KHUMAR BARABANKVI

0

पी पी के जगमगाए ज़माने गुज़र गए

रातों को दिन बनाए ज़माने गुज़र गए

जान-ए-बहार फूल नहीं आदमी हूँ मैं

जा कि मुस्कुराए ज़माने गुज़र गए

क्या लाइक़-ए-सितम भी नहीं अब मैं दोस्तो

पत्थर भी घर में आए ज़माने गुज़र गए

जाने वाले कि तिरे इंतिज़ार में

रस्ते को घर बनाए ज़माने गुज़र गए

ग़म है अब ख़ुशी है उम्मीद है यास

सब से नजात पाए ज़माने गुज़र गए

मरने से वो डरें जो ब-क़ैद-ए-हयात हैं

मुझ को तो मौत आए ज़माने गुज़र गए

क्या क्या तवक़्क़ुआत थीं आहों से ऐ ‘ख़ुमार’

ये तीर भी चलाए ज़माने गुज़र गए

PĪ PĪ KE JAGMAGĀ.E ZAMĀNE GUZAR GA.E

RĀTOÑ KO DIN BANĀ.E ZAMĀNE GUZAR GA.E

JĀN-E-BAHĀR PHUUL NAHĪÑ AADMĪ HUUÑ MAIÑ

AA JĀ KI MUSKURĀ.E ZAMĀNE GUZAR GA.E

KYĀ LĀ.IQ-E-SITAM BHĪ NAHĪÑ AB MAIÑ DOSTO

PATTHAR BHĪ GHAR MEÑ AA.E ZAMĀNE GUZAR GA.E

O JAANE VAALE AA KI TIRE INTIZĀR MEÑ

RASTE KO GHAR BANĀ.E ZAMĀNE GUZAR GA.E

ĠHAM HAI NA AB ḲHUSHĪ HAI NA UMMĪD HAI NA YAAS

SAB SE NAJĀT PAA.E ZAMĀNE GUZAR GA.E

MARNE SE VO DAREÑ JO BA-QAID-E-HAYĀT HAIÑ

MUJH KO TO MAUT AA.E ZAMĀNE GUZAR GA.E

KYĀ KYĀ TAVAQQUĀT THIIÑ AAHOÑ SE AI ‘ḲHUMĀR’

YE TIIR BHĪ CHALĀ.E ZAMĀNE GUZAR GA.E

 

BAAT JAB DOSTOÑ KĪ AATĪ HAI KHUMAR BARABANKVI

1

बात जब दोस्तों की आती है

दोस्ती काँप काँप जाती है

मुझ से दोस्त फिर ख़फ़ा हो जा

इश्क़ को नींद आई जाती है

अब क़यामत से क्या डरे कोई

अब क़यामत तो रोज़ आती है

भागता हूँ मैं ज़िंदगी से ‘ख़ुमार’

और ये नागिन डसे ही जाती है

BAAT JAB DOSTOÑ KĪ AATĪ HAI

DOSTĪ KAAÑP KAAÑP JAATĪ HAI

MUJH SE AI DOST PHIR ḲHAFĀ HO JĀ

ISHQ KO NIIÑD AA.Ī JAATĪ HAI

AB QAYĀMAT SE KYĀ DARE KOĪ

AB QAYĀMAT TO ROZ AATĪ HAI

BHĀGTĀ HUUÑ MAIÑ ZINDAGĪ SE ‘ḲHUMĀR’

AUR YE NĀGIN DASE HĪ JAATĪ HAI

 

BUJH GAYA DIL HAYAT BAQI HAI KHUMAR BARABANKVI

0

बुझ गया दिल हयात बाक़ी है

छुप गया चाँद रात बाक़ी है

हाल-ए-दिल उन से कह चुके सौ बार

अब भी कहने की बात बाक़ी है

ख़ुशा ख़त्म-ए-इज्तिनाब मगर

महशर-ए-इल्तिफ़ात बाक़ी है

इश्क़ में हम समझ चुके सब से

एक ज़ालिम हयात बाक़ी है

नासेहान-ए-कराम के दम से

शोरिश-ए-काएनात बाक़ी है

रात बाक़ी थी जब वो बिछड़े थे

कट गई उम्र रात बाक़ी है

रहमत-ए-बे-पनाह के सदक़े

ए’तिमाद-ए-नजात बाक़ी है

वो दिल है वो शबाब ‘ख़ुमार’

किस लिए अब हयात बाक़ी है

BUJH GAYĀ DIL HAYĀT BAAQĪ HAI

CHHUP GAYĀ CHĀÑD RAAT BAAQĪ HAI

HĀL-E-DIL UN SE KAH CHUKE SAU BAAR

AB BHĪ KAHNE KĪ BAAT BAAQĪ HAI

AI ḲHUSHĀ ḲHATAM-E-IJTINĀB MAGAR

MAHSHAR-E-ILTIFĀT BAAQĪ HAI

ISHQ MEÑ HAM SAMAJH CHUKE SAB SE

EK ZĀLIM HAYĀT BAAQĪ HAI

NĀSEHĀN-E-KARĀM KE DAM SE

SHORISH-E-KĀ.ENĀT BAAQĪ HAI

RAAT BAAQĪ THĪ JAB VO BICHHḌE THE

KAT GA.Ī UMR RAAT BAAQĪ HAI

RAHMAT-E-BE-PANĀH KE SADQE

E’TIMĀD-E-NAJĀT BAAQĪ HAI

NA VO DIL HAI NA VO SHABĀB ‘ḲHUMĀR’

KIS LIYE AB HAYĀT BAAQĪ HAI

 

WO SIWA YAAD AAE BHULANE KE BAAD KHUMAR BARABANKVI

0

वो सिवा याद आए भुलाने के बा’द

ज़िंदगी बढ़ गई ज़हर खाने के बा’द

दिल सुलगता रहा आशियाने के बा’द

आग ठंडी हुई इक ज़माने के बा’द

रौशनी के लिए दिल जलाना पड़ा

ऐसी ज़ुल्मत बढ़ी तेरे जाने के बा’द

जब कुछ बन पड़ा अर्ज़-ए-ग़म का जवाब

वो ख़फ़ा हो गए मुस्कुराने के बा’द

दुश्मनों से पशेमान होना पड़ा

दोस्तों का ख़ुलूस आज़माने के बा’द

रंज हद से गुज़र के ख़ुशी बन गया

हो गए पार हम डूब जाने के बा’द

बख़्श दे या रब अहल-ए-हवस को बहिश्त

मुझ को क्या चाहिए तुझ को पाने के बा’द

कैसे कैसे गिले याद आए ‘ख़ुमार’

उन के आने से क़ब्ल उन के जाने के बा’द

VO SIVĀ YAAD AA.E BHULĀNE KE BA.AD

ZINDAGĪ BAḌH GA.Ī ZAHR KHĀNE KE BA.AD

DIL SULAGTĀ RAHĀ ĀSHIYĀNE KE BA.AD

AAG THANDĪ HUĪ IK ZAMĀNE KE BA.AD

RAUSHNĪ KE LIYE DIL JALĀNĀ PAḌĀ

AISĪ ZULMAT BAḌHĪ TERE JAANE KE BA.AD

JAB NA KUCHH BAN PAḌĀ ARZ-E-ĠHAM KĀ JAVĀB

VO ḲHAFĀ HO GA.E MUSKURĀNE KE BA.AD

DUSHMANOÑ SE PASHEMĀN HONĀ PAḌĀ

DOSTOÑ KĀ ḲHULŪS ĀZMĀNE KE BA.AD

RAÑJ HAD SE GUZAR KE ḲHUSHĪ BAN GAYĀ

HO GA.E PAAR HAM DUUB JAANE KE BA.AD

BAḲHSH DE YĀ RAB AHL-E-HAVAS KO BAHISHT

MUJH KO KYĀ CHĀHIYE TUJH KO PAANE KE BA.AD

KAISE KAISE GILE YAAD AA.E ‘ḲHUMĀR’

UN KE AANE SE QABL UN KE JAANE KE BA.AD

 

JHUNJHLAE HAIN LAJAE HAIN PHIR MUSKURAE HAIN KHUMAR BARABANKVI

1

झुँझलाए हैं लजाए हैं फिर मुस्कुराए हैं

किस एहतिमाम से उन्हें हम याद आए हैं

दैर-ओ-हरम के हब्स-कदों के सताए हैं

हम आज मय-कदे की हवा खाने आए हैं

अब जा के आह करने के आदाब आए हैं

दुनिया समझ रही है कि हम मुस्कुराए हैं

गुज़रे हैं मय-कदे से जो तौबा के बा’द हम

कुछ दूर आदतन भी क़दम लड़खड़ाए हैं

जोश-ए-गिर्या देख करना ख़जिल मुझे

आँखें मिरी ज़रूर हैं आँसू पराए हैं

मौत बहिश्त-ए-सुकूँ ख़ुश-आमदीद

हम ज़िंदगी में पहले पहल मुस्कुराए हैं

जितनी भी मय-कदे में है साक़ी पिला दे आज

हम तिश्ना-काम ज़ोहद के सहरा से आए हैं

इंसान जीते-जी करें तौबा ख़ताओं से

मजबूरियों ने कितने फ़रिश्ते बनाए हैं

समझाते क़ब्ल-ए-इश्क़ तो मुमकिन था बनती बात

नासेह ग़रीब अब हमें समझाने आए हैं

का’बे में ख़ैरियत तो है सब हज़रत-ए-‘ख़ुमार’

ये दैर है जनाब यहाँ कैसे आए हैं

JHUNJHLAE HAIN LAJAE HAIN PHIR MUSKURAE HAIN

KIS EHTIMĀM SE UNHEÑ HAM YAAD AA.E HAIÑ

DAIR-O-HARAM KE HABS-KADOÑ KE SATĀ.E HAIÑ

HAM AAJ MAI-KADE KĪ HAVĀ KHĀNE AA.E HAIÑ

AB JĀ KE AAH KARNE KE ĀDĀB AA.E HAIÑ

DUNIYĀ SAMAJH RAHĪ HAI KI HAM MUSKURĀ.E HAIÑ

GUZRE HAIÑ MAI-KADE SE JO TAUBA KE BA.AD HAM

KUCHH DUUR ĀDATAN BHĪ QADAM LAḌKHAḌĀ.E HAIÑ

AI JOSH-E-GIRYA DEKH NA KARNĀ ḲHAJIL MUJHE

ĀÑKHEÑ MIRĪ ZARŪR HAIÑ AAÑSŪ PARĀ.E HAIÑ

AI MAUT AI BAHISHT-E-SUKŪÑ AA ḲHUSH-ĀMDĪD

HAM ZINDAGĪ MEÑ PAHLE PAHAL MUSKURĀ.E HAIÑ

JITNĪ BHĪ MAI-KADE MEÑ HAI SAAQĪ PILĀ DE AAJ

HAM TISHNA-KĀM ZOHD KE SAHRĀ SE AA.E HAIÑ

INSĀN JĪTE-JĪ KAREÑ TAUBA ḲHATĀOÑ SE

MAJBŪRIYOÑ NE KITNE FARISHTE BANĀ.E HAIÑ

SAMJHĀTE QABL-E-ISHQ TO MUMKIN THĀ BANTĪ BAAT

NĀSEH ĠHARĪB AB HAMEÑ SAMJHĀNE AA.E HAIÑ

KA.ABE MEÑ ḲHAIRIYAT TO HAI SAB HAZRAT-E-‘ḲHUMĀR’

YE DAIR HAI JANĀB YAHĀÑ KAISE AA.E HAIÑ