20.1 C
Delhi
Wednesday, March 18, 2026

Buy now

Ads

Bisāt-E-Zindagī To Har Ghadī Bichhtī Hai Uthtī Hai

- Advertisement -

बिसात-ए-ज़िंदगी तो हर घड़ी बिछती है उठती है

यहाँ पर जितने ख़ाने जितने घर हैं

सारे

ख़ुशियाँ और ग़म इनआ’म करते हैं

यहाँ पर सारे मोहरे

अपनी अपनी चाल चलते हैं

कभी महसूर होते हैं कभी आगे निकलते हैं

यहाँ पर शह भी पड़ती है

यहाँ पर मात होती है

कभी इक चाल टलती है

कभी बाज़ी पलटती है

यहाँ पर सारे मोहरे अपनी अपनी चाल चलते हैं

मगर मैं वो पियादा हूँ

जो हर घर में

कभी इस शह से पहले और कभी उस मात से पहले

कभी इक बुर्द से पहले कभी आफ़ात से पहले

हमेशा क़त्ल हो जाता है

bisāt-e-zindagī to har ghaḌī bichhtī hai uThtī hai

yahāñ par jitne ḳhāne jitne ghar haiñ

saare

ḳhushiyāñ aur ġham in.aam karte haiñ

yahāñ par saare mohre

apnī apnī chaal chalte haiñ

kabhī mahsūr hote haiñ kabhī aage nikalte haiñ

yahāñ par shah bhī paḌtī hai

yahāñ par maat hotī hai

kabhī ik chaal Taltī hai

kabhī baazī palaTtī hai

yahāñ par saare mohre apnī apnī chaal chalte haiñ

magar maiñ vo piyāda huuñ

jo har ghar meñ

kabhī is shah se pahle aur kabhī us maat se pahle

kabhī ik burd se pahle kabhī āfāt se pahle

hamesha qatl ho jaatā hai

Related Articles

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Stay Connected

0FansLike
3,912FollowersFollow
14,700SubscribersSubscribe
- Advertisement -spot_img

Latest Articles