29.1 C
Delhi
Monday, February 16, 2026

Buy now

Ads

Nadi Ne Dhuup Se Kya Kah Diya Ravani Men by Rahat Indori

- Advertisement -

Ghazal in Hindi
नदी ने धूप से क्या कह दिया रवानी में

उजाले पाँव पटकने लगे हैं पानी में

ये कोई और ही किरदार है तुम्हारी तरह

तुम्हारा ज़िक्र नहीं है मिरी कहानी में

अब इतनी सारी शबों का हिसाब कौन रखे

बड़े सवाब कमाए गए जवानी में

चमकता रहता है सूरज-मुखी में कोई और

महक रहा है कोई और रात-रानी में

ये मौज मौज नई हलचलें सी कैसी हैं

ये किस ने पाँव उतारे उदास पानी में

मैं सोचता हूँ कोई और कारोबार करूँ

किताब कौन ख़रीदेगा इस गिरानी में

Ghazal in English

nadī ne dhuup se kyā kah diyā ravānī meñ

ujāle paañv paTakne lage haiñ paanī meñ

ye koī aur hī kirdār hai tumhārī tarah

tumhārā zikr nahīñ hai mirī kahānī meñ

ab itnī saarī shaboñ kā hisāb kaun rakhe

baḌe savāb kamā.e ga.e javānī meñ

chamaktā rahtā hai sūraj-mukhī meñ koī aur

mahak rahā hai koī aur rāt-rānī meñ

ye mauj mauj na.ī halchaleñ sī kaisī haiñ

ye kis ne paañv utāre udaas paanī meñ

maiñ sochtā huuñ koī aur kārobār karūñ

kitāb kaun ḳharīdegā is girānī meñ

Related Articles

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Stay Connected

0FansLike
3,912FollowersFollow
14,700SubscribersSubscribe
- Advertisement -spot_img

Latest Articles