कभी जो मैं ने मसर्रत का एहतिमाम किया
बड़े तपाक से ग़म ने मुझे सलाम किया
हज़ार तर्क-ए-तअ’ल्लुक़ का एहतिमाम किया
मगर जहाँ वो मिले दिल ने अपना काम किया
ज़माने वालों के डर से उठा न हाथ मगर
नज़र से उस ने ब-सद मा’ज़रत सलाम किया
कभी हँसे कभी आहें भरीं कभी रोए
ब-क़द्र-ए-मर्तबा हर ग़म का एहतिराम किया
Intervento Gastroenterologico
Testo aggiuntivo sull’intervento gastrointestinale.
style=”font-style: inherit; font-weight: inherit;” data-m=”\0gf6″>प्यासों के
ज़े-राह-ए-ख़ैर गुनाह-ए-शिकस्त-ए-जाम किया
तुलू-ए-महर से भी घर की तीरगी न घटी
इक और शब कटी या मैं ने दिन तमाम किया
दुआ ये है न हों गुमराह हम-सफ़र मेरे
‘ख़ुमार’ मैं ने तो अपना सफ़र तमाम किया
KABHĪ JO MAIÑ NE MASARRAT KĀ EHTIMĀM KIYĀ
BAḌE TAPĀK SE ĠHAM NE MUJHE SALĀM KIYĀ
HAZĀR TARK-E-TA.ALLUQ KĀ EHTIMĀM KIYĀ
MAGAR JAHĀÑ VO MILE DIL NE APNĀ KAAM KIYĀ
ZAMĀNE VĀLOÑ KE DAR SE UTHĀ NA HAATH MAGAR
NAZAR SE US NE BA-SAD MA.AZARAT SALĀM KIYĀ
KABHĪ HAÑSE KABHĪ AAHEÑ BHARĪÑ KABHĪ RO.E
BA-QADR-E-MARTABA HAR ĠHAM KĀ EHTIRĀM KIYĀ
HAMĀRE HISSE KĪ MAI KAAM AA.E PYĀSOÑ KE
ZE-RĀH-E-ḲHAIR GUNĀH-E-SHIKAST-E-JĀM KIYĀ
TULŪ-E-MAHR SE BHĪ GHAR KĪ TĪRGĪ NA GHATĪ
IK AUR SHAB KATĪ YĀ MAIÑ NE DIN TAMĀM KIYĀ
DUĀ YE HAI NA HOÑ GUMRĀH HAM-SAFAR MERE
‘ḲHUMĀR’ MAIÑ NE TO APNĀ SAFAR TAMĀM KIYĀ