14.1 C
Delhi
Wednesday, February 11, 2026

Buy now

Ads

Dosti Jab Kisi Se Ki Jaae by Rahat Indori

- Advertisement -

Ghazal in Hindi

दोस्ती जब किसी से की जाए

दुश्मनों की भी राय ली जाए

मौत का ज़हर है फ़ज़ाओं में

अब कहाँ जा के साँस ली जाए

बस इसी सोच में हूँ डूबा हुआ

ये नदी कैसे पार की जाए

अगले वक़्तों के ज़ख़्म भरने लगे

आज फिर कोई भूल की जाए

लफ़्ज़ धरती पे सर पटकते हैं

गुम्बदों में सदा न दी जाए

कह दो इस अहद के बुज़ुर्गों से

ज़िंदगी की दुआ न दी जाए

बोतलें खोल के तो पी बरसों

आज दिल खोल कर ही पी जाए

Ghazal in English

dostī jab kisī se kī jaa.e

dushmanoñ kī bhī raa.e lī jaa.e

maut kā zahr hai fazāoñ meñ

ab kahāñ jā ke saañs lī jaa.e

bas isī soch meñ huuñ Duubā huā

ye nadī kaise paar kī jaa.e

agle vaqtoñ ke zaḳhm bharne lage

aaj phir koī bhuul kī jaa.e

lafz dhartī pe sar paTakte haiñ

gumbadoñ meñ sadā na dī jaa.e

kah do is ahd ke buzurgoñ se

zindagī kī duā na dī jaa.e

botaleñ khol ke to pī barsoñ

aaj dil khol kar hī pī jaa.e

Related Articles

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Stay Connected

0FansLike
3,912FollowersFollow
14,700SubscribersSubscribe
- Advertisement -spot_img

Latest Articles