20.1 C
Delhi
Sunday, February 1, 2026

Buy now

Ads

Kyā Kaheñ Tum Se Būd-O-Bāsh Apnī

- Advertisement -

क्या कहें तुम से बूद-ओ-बाश अपनी

काम ही क्या वही तलाश अपनी

कोई दम ऐसी ज़िंदगी भी करें

अपना सीना हो और ख़राश अपनी

अपने ही तेशा-ए-नदामत से

ज़ात है अब तो पाश पाश अपनी

है लबों पर नफ़स-ज़नी की दुकाँ

यावा-गोई है बस मआश अपनी

तेरी सूरत पे हूँ निसार अब

और सूरत कोई तराश अपनी

जिस्म जाँ को तो बेच ही डाला

अब मुझे बेचनी है लाश अपनी

kyā kaheñ tum se būd-o-bāsh apnī

kaam kyā vahī talāsh apnī

koī dam aisī zindagī bhī kareñ

apnā siina ho aur ḳharāsh apnī

apne tesha-e-nadāmat se

zaat hai ab to paash paash apnī

hai laboñ par nafas-zanī dukāñ

yāva-goī hai bas ma.āsh apnī

terī sūrat pe huuñ nisār pa ab

aur sūrat koī tarāsh apnī

jism o jaañ ko to bech Daalā

ab mujhe bechnī hai laash apnī

Related Articles

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Stay Connected

0FansLike
3,912FollowersFollow
14,700SubscribersSubscribe
- Advertisement -spot_img

Latest Articles