तू चाहिए न तेरी वफ़ा चाहिए मुझे

कुछ भी न तेरे ग़म के सिवा चाहिए मुझे

मरने से पहले शक्ल ही इक बार देख लूँ

ऐ मौत ज़िंदगी का पता चाहिए मुझे

या रब मुआ’फ़ कर के न दे कर्ब-ए-इंफ़िआल

मैं ने ख़ताएँ की हैं सज़ा चाहिए मुझे

ख़ामोशी-ए-हयात से उकता गया हूँ मैं

अब चाहे दिल ही टूटे सदा चाहिए मुझे

उन मस्त मस्त आँखों में आँसू अरे ग़ज़ब

ये इश्क़ है तो क़हर-ए-ख़ुदा चाहिए मुझे

नासेह नसीहतों का ज़माना गुज़र गया

अब प्यारे सिर्फ़ तेरी दुआ चाहिए मुझे

हर दर्द को दवा की ज़रूरत है ऐ ‘ख़ुमार’

जो दर्द ख़ुद हो अपनी दवा चाहिए मुझे

 

TŪ CHĀHIYE NA TERĪ VAFĀ CHĀHIYE MUJHE

KUCHH BHĪ NA TERE ĠHAM KE SIVĀ CHĀHIYE MUJHE

MARNE SE PAHLE SHAKL HĪ IK BAAR DEKH LUUÑ

AI MAUT ZINDAGĪ KĀ PATĀ CHĀHIYE MUJHE

YĀ RAB MUAAF KAR KE NA DE KARB-E-INFI.ĀL

MAIÑ NE ḲHATĀ.EÑ KĪ HAIÑ SAZĀ CHĀHIYE MUJHE

ḲHĀMOSHI-E-HAYĀT SE UKTĀ GAYĀ HUUÑ MAIÑ

AB CHĀHE DIL HĪ TUUTE SADĀ CHĀHIYE MUJHE

UN MAST MAST ĀÑKHOÑ MEÑ AAÑSŪ ARE ĠHAZAB

YE ISHQ HAI TO QAHR-E-ḲHUDĀ CHĀHIYE MUJHE

NĀSEH NASĪHATOÑ KĀ ZAMĀNA GUZAR GAYĀ

AB PYĀRE SIRF TERĪ DUĀ CHĀHIYE MUJHE

HAR DARD KO DAVĀ KĪ ZARŪRAT HAI AI ‘ḲHUMĀR’

JO DARD ḲHUD HO APNĪ DAVĀ CHĀHIYE MUJHE

 

1 COMMENT

  1. ऐ मौत ज़िंदगी का पता चाहिए मुझे

    या रब मुआ’फ़ कर के न दे कर्ब-ए-इंफ़िआल

    मैं ने ख़ताएँ की हैं सज़ा चाहिए मुझे

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here