26.1 C
Delhi
Monday, February 16, 2026

Buy now

Ads

Tumhare Naam Par Main Ne Har Aafat Sar Pe Rakkhi Thi by Rahat Indori

- Advertisement -

Ghazal in Hindi
तुम्हारे नाम पर मैं ने हर आफ़त सर पे रक्खी थी

नज़र शो’लों पे रक्खी थी ज़बाँ पत्थर पे रक्खी थी

हमारे ख़्वाब तो शहरों की सड़कों पर भटकते थे

तुम्हारी याद थी जो रात भर बिस्तर पे रक्खी थी

मैं अपना अज़्म ले कर मंज़िलों की सम्त निकला था

मशक़्क़त हाथ पे रक्खी थी क़िस्मत घर पे रक्खी थी

इन्हीं साँसों के चक्कर ने हमें वो दिन दिखाए थे

हमारे पाँव की मिट्टी हमारे सर पे रक्खी थी

सहर तक तुम जो आ जाते तो मंज़र देख सकते थे

दिए पलकों पे रक्खे थे शिकन बिस्तर पे रक्खी थी

Ghazal in English

tumhāre naam par maiñ ne har aafat sar pe rakkhī thī

nazar sho.aloñ pe rakkhī thī zabāñ patthar pe rakkhī thī

hamāre ḳhvāb to shahroñ kī saḌkoñ par bhaTakte the

tumhārī yaad thī jo raat bhar bistar pe rakkhī thī

maiñ apnā azm le kar manziloñ kī samt niklā thā

mashaqqat haath pe rakkhī thī qismat ghar pe rakkhī thī

inhīñ sāñsoñ ke chakkar ne hameñ vo din dikhā.e the

hamāre paañv kī miTTī hamāre sar pe rakkhī thī

sahar tak tum jo aa jaate to manzar dekh sakte the

diye palkoñ pe rakkhe the shikan bistar pe rakkhī thī

Related Articles

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Stay Connected

0FansLike
3,912FollowersFollow
14,700SubscribersSubscribe
- Advertisement -spot_img

Latest Articles